"Aarambh Hai Prachand"

"Aarambh Hai Prachand"
Piyush Mishra. (2023, March 20). In Wikipedia. https://en.wikipedia.org/wiki/Piyush_Mishra

Written by: Piyush Mishra

Aarambh hai prachand
Bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

Aarambh hai prachand
Bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Aarambh hai prachand
Bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do
Aarambh hai prachand

Man kare so pran de
Jo man kare so pran le
Wahi to ek sarv shaktiman hai
Man kare so pran de
Jo man kare so pran le
Wahi to ek sarv shaktiman hai

Vishva ki pukaar hai
Yeh bhaagwat ka saar hai
Ki yudh hi to veer ka praman hai
Kaurawon ki bheed ho
Ya Pandawon ka need ho
Jo lad saka haiWoh hi to mahaan hai

Jeet ki hawas nahi
Kisi pe koyi vash nahi
Kya zindagi hai
Thokron pe maar do
Maut ant hai nahi
To maut se bhi kyun darein
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do

Aarambh hai prachand
Bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do
Aarambh hai prachand

Ho daya ka bhav
Ya ki shaurya ka chunav
Ya ki haar ka woh ghav
Tum yeh soch lo

Ho daya ka bhavYa ki shaurya ka chunav
Ya ki haar ka woh ghavTum yeh soch lo

Ya ki poore bhaal par
Jala rahe vijay ka laal
Laal yeh gulaalTum yeh soch lo
Rang kesri hoYa mridang kesri ho
Ya ki kesri ho laalTum yeh soch lo

Jis kavi ki kalpana mein
Zindagi ho prem geet
Us kavi ko aaj tum nakaar do
Bheegti nason mein aaj
Phoolti ragon mein aaj
Aag ki lapat ka tum baghaar do

Aarambh hai prachand
Bole mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Aarambh hai prachand
Aarambh hai prachand
Aarambh hai prachand

Join Our Community!

18+ hours of 📚 reading and 🧐 analysis distilled in a 10-minute crisp summary every 🗓️ month. – straight to your inbox.

Unsubscribe at any time!
Great! Check your inbox and click the link to confirm your subscription.
Error! Please enter a valid email address!